Yaad hai teri aur zindagi mein gam hai Manzar hai judai ka aur aankhen bhi nam hain Tu aaye to dhadak jaaye, aa jaaye isme jaan Teri aarzoo hai, dil mein dhadkanen bhi kam hain
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka, Shayad nazar se woh baat ho jaye. Is umeed mein karte hain intezaar raat ka, ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.
Tum ko sochu toh sab silsile ache lagte hai Mujhe tumhare shaam-o-saher ache lagte hai Bahut dur tak jaana magar laut ana Mujhe tum se tumhi tak ke faasle ache lagte hai
Tumhe mai pyar kahun yaar kahun ya jane jana,Naam kuch bhi rahe tamana hai tumse mil jana,Jindagi rukati nahi kisike liye chhod apni raahein,Raah pal bhar ko badal kar meri raahein chamaka jana.
Banane ko to jahan bhi bana leta hu,Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu,Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai,Ek aur mukaddar is diye sa jala hai,Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai,Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.
Me hu Suraj teri khatir me pighal jaunga1diya banke teri rah me jal jaunga tere dil me koi dusra ho to bata de,teri zindagi se dhua banke nikal jaunga.