Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata, Lehro se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khud hi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Unki galiyon se gujarna ab aadat si ho gayi hai Unhe har pal chahne ek chahat si ho gayi hai Kisi pe marne wale ham na the Par har pal unpe marna ibadat si ho gayi hai
fir wahi fasaana afsaana sunaati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho.
Tum ko sochu toh sab silsile ache lagte hai Mujhe tumhare shaam-o-saher ache lagte hai Bahut dur tak jaana magar laut ana Mujhe tum se tumhi tak ke faasle ache lagte hai