Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage, Kitne benoor hain sapne hakikat ke aage, Koi ruki si dhadkan se puche,kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.
Unki tasveer yuh aakho me bas gayi hai, Ki dekhte hai jo bhi nazara,..... wohi dikhai dete hai, Pehle na kabhi mehsus kiya tha dil ki dhadkan ko, Ab to har bar dhadakta hai.. .... wohi sunai dete hai....
main akela kaha tera wajood ka saya sath hai.jawan raat mein chand chandni ke sath hai.Duriya kaha dur kar pati hai hume. sapno mein hi sahi tere hathon mein haath hai.
Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain agar har baato par uski naam lete hain agar ise pyar kehte hain toh haan maine bhi kissi se pyar kiya tha..
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon, waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon, tum paas ho to is raat se ek raat chura loon, tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon.
Lehro se milkar na wo beh sake na hum! Ek duje k dil me na wo reh sake na hum! Jeet lete aasma ek din lekin palko ki khamoshi ko honton se na wo keh sake na hum!
Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga, Jaise amavas ne har raat chand maanga. Ruth gaya woh Khuda bhi humse, Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga