Tumari judai yadon ka izhar karti hai, tumari yaad bahut bekarar karti hai.. Wo din jo sath guzare the humne, talash unhi palon ki ye nazar bar bar karti hai
Guzre lamho ko mein aksar dhundta mil jaunga tum se bhi hoker juda mein tumko mil jaunga ghar se bahar jab kadam apna rakhogey ek bhi banke mein tumko tumhara rasta mil jaunga
Wo dard hi kya jo ankho se beh jaye wo khushi hi kya jo honto pe reh jaye kabhi to samje koi kisi ki khamoshi ko wo bat hi kya jise alfaz asani se kehjaye.
Apni tasveer ko aankhon se lagata kya hai,Ek nazar dekh, tera jata kya hai,Meri rushvai mein tu hai barabar ka sharik,Mere qisse aaron ko sunataa kya hain.