Har baar apki salamati ki dua karenge,teri arzoo main apni hasti fanaah karenge,tum chahe daman bachalo humse lekin,Hum marte dum tak aapse wafa karenge.
who hai zalim kahte hain ki hua kya hai, jal raha dil aur kehte hain ki dhuaan kahan hai mar gaya aashik aur kisi ne tawajjo na ki, unki nazaro ke teer chalte hain to gilah kya hai
Bhula kar hame wo khush reh payenge sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena, Hum to seh gaye par wo toot jayenge!
Aap k pyar ko salam kiya hai.Jine ka har andaz apke naam kiya hai mang lijiye us khuda se aaj kuch bhi Kyonki humne apni har mannat ko apke naam kiya hai..
kabhi kaha na kisise tere fasane ko, jane kaise khabar lag gayi zamane ko! Dua bahaar ki mangi to itni ful khile, Kahin jagah na mili mere aashiyane ko!!