Youn hi tunhai main hum dil ko saza dete hain, naam likhte hain tera likh ker mita detey hain, yai soch ker rehne dia armaano ko dil main, mehman kabi gar se nikale nahi jate.
Vo dekhte hain humein aur chhup jate hain Kehhni hai shayad kuchh baat par jane kyon ghbrate hain Jab bhi milte hain to bas ek chhota sa paigam de jate hain Par dil main hai jo baat kabhi honthon pe nahi late hain
Ajnbi se guftgu kya ki kyamat ho gayi or sare sahar me ye khabar aam ho gayi!Ab tumhare bina1pal b karar muskil hai,kyuki dosti ka irada tha or mohbbat ho gayi
Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya Maine samhja hai khud ko sada amanat teri, Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya