Ab kya kahe ki unse mohabat na rahi,Ya ye ki unko humari jarurat na rahi,Unko bhi wada karke bhulane ka shauk hai,Aur humko bhi ab intejar ki aadat na rahi.
Girti hui baris ki bundo ko apne hatho me simat lo,jitna pani tum simat paye utna yaad tum hume karte ho,jitna pani tum simat nhi paye utna yaad hum karte hai.
Zindagi ek baar milti hai usko na yun barbaad karo, khushi ho ya gam ka aalam us khuda par aitbaar karo, mohabbat hi to hame jeena sikhati hai is zamane mei isiliye doston kisi na kisi se tum bhi pyaar karo…
Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye, Kyu ho khafa ye bayan to kijiye, Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata, Yu yaad na kar ke saza to na dijiye