Aapse nazrein to mila lein par ye to bataiye ki Aap mein aisa kya dekhein jo dekhte hi deewana banade Badi mushkil se militi hai zindagi sambhal ke rakhiye Kahin is shama ko hum parvana na banade
Masjid ki namaz ya mandir ki dua ho tum,Ho khuda ka tohfa ya khud khuda ho tum,Ae mere Rab khud hi karo faisla,Dil mein rehte ho tum ya dil ki jagah ho tum.
Maang kabhi ulfat main jaan b hum se Hum teri kisi baat ko taala nahi karte Tasdeeq jo karni ho to aa jao kisi sham Hum tere bina ghar main ujaala bhi nahi karte