Barishon k mausam main tumhain yaad karney ki adat purani hai ab ki baar socha hai adatain badal dalain phir khayal aya k.... adatain badalney se barishain nahin rukti....
Koi Milta Hi Nahi Humse Humara Ban Kar,Wo Mile Bhi To Ek Kinara Ban Kar,Har Khwab Kaanch Ki Tarah Tuta he hamara,Ek Yakin He Hai Mere Sath Sahara Ban Kar.
Koi Shaam Aati Hai Tumhari Yaad Lekar...Koi Shaam Jaati Hai Tumhari Yaad Dekar....Hamein To Uss Shaam Ka Intezaar Hai.....Jo Aaye Tumhe Saath Lekar....!
Socha tujhko phool kahu maiLaikin phool bikher jata hai,Socha tujhko khowab kahun maiLekin khowab to mar jata hai,Socha tujhko shaam kahun maiLekin shaam to dhal jati hai,Or tu dhalti shaam nahi hai,Tera koyi naam nahi hai.
Teri khushi ki khatir tujhse door chale aye,meri muhabbat ka bhi tujhe ilm na hone paye,woh muskarata chehra jo in ankhon mein hai,dil ko behlane ke liye yeh chand hi kafi hai..