Ishq karnewale aankho ki baat samajh lete hai, sapno me wo mil jaye to mulakat samajh lete hai, rota to aasmaan bhi hai pyaar ke liye par log use barsaat samajh lete hai....!!!!
Koi khwab in aankho me sajaya hi nahi,Hamare dil ki gehrai ko koi samajh paya hi nahi,Kisi ko mehsus ho kami hamari,Khuda ne Shayad hame aisa banaya hi nahi.
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.