Tham lay jo tu hath mera to sab sanwar jaye Thukra day jo mujhay tu to sab bikhar jaye Kehta hun tujhay ab kar lay tu bhe iqrar Kahin ye pagal teray iqrar say pehlay na guzar jaye
Hamein bhi mile koi chahne wala, hum toh pyar k liye bekrar baithe hain. Koi vada kare sapno mein aane ka, hum toh umar bhar sone ko taiyar baithe hain
Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai, Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai, Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe, Sirf ek baar tujhe Dulhan ke roop mein paane ki tamanna hai....