zindagi ki kitab ke jo panne hote hai kuch apne kuch begane hote hai khusiyo se sawar jaati hai zindagi bas rishte pyar se nibhane hote hai kehte hai ishq me nind ud jaati hai kambakht humse bhi koi ishq kare
Banane ko to jahan bhi bana leta hu, Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu, Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai, Ek aur mukaddar is diye sa jala hai, Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai, Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
WOH RUTHE IS KADAR KI MANAYA NA GAYA, DUR ITNE HO GAYE KI PAAS BULAYA NA GAYA, DIL TO DIL THA SAMUNDAR KA SAHIL NAHIN, LIKH DIYA NAAM TO PHIR MITAYA NA GAYA.
Kab se khamosh ho aae jane jaha kuch to bolo.kya abhi aur sitam dhane ko dil karta hai.ro ro k hum se puchha dil k chhalo ne.basti dur basa li dil me basne wale
Dil ki dhadkano ki awaz suni h maine,apni ankho se koi bat kahi h maine, bas ek didar k liye khud ko sambhle baithe h, jane y ishq me koun si rah chuni h maine.
Yadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai kaano me gunjti sehnai si lagti hai aap karib hain to aapnapan hai, warna seene me saans bhi parai si lagti hai