Dil k kehne pe dil ki duniya chhod aaye,Sabhi rishte nato se muh mod aaye.Humse na mangna hisab wafai ka-e-yaro,Unki chahat me n jane kitno k dil tod aye.
Bhigi huyi aankhon ka ye manzar na milega, ghar chhod ke mat jao kahi, ghar na milega.phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam, jab dhup me saya koi sar par na milega.aansu ko kabhi oos ka qatra na samajhna, aisa tumhe chahat ka samundr na milega.