Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Kabhi Kabhi Mohabbat Mein Judaai Bhi Aati Hai, Par Judaai Pyaar Ko Aur Bhi Gehra Bana Deti Hai, Do Pal Ki Judaai Mein Aansoo Na Bahaa Aye Dost, Judaai Ki Tadap Pyaar Ko Aur Pyaara Bana Deti Hai....
Chahne se koi cheez apni nahi hoti, har muskurahat khushi nahi hoti, kehna to chahte hai bohot kuch apse, magar kabhi alfaaz to kabhi zubaan saath nahi hoti..