Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Khuda se thoda reham khareed lete, aapke zakhmon ka marham khareed lete, agar kahin bikti khusiyan meri, to saari bech kar aapka har gum khareed lete Phool
Zindagi kabhi aapko hasati hogi. kabhi rulati hogi. yaad karta hai koi aapko har pal iss raftaar bhari zindagi me .1 hichki to aapko zroz aati hi hogi.