Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoon, tujhe jane bina tera haal bata sakta hoon, hai meri mohabbat mein itna dum, apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon....
Yai tum kis baat per bigre ho itna, koi jutha sa ilzam is dil per laga jate, Tumhe tha ruthna, to ruthne se ik zara pehley, Kush hum se bi suna hota, kush apni bi suna jate
Fir wahi fasaana afsaana sunati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho
Tumhara Naam likh kr mitana bhool jata hoon.. Tumhain Jab yaad krta hoon bulana bhool jata hoon.. Bohat c aysi batain hain jo mary DIL main rakti hain.. Mager jab tum sy milta hoon sunana bhool jata hoon.. Tumhary Baad ab her pal bari mushkil sy Katta hai.. Main aksar tum ko Khawabon main batana bholl jata hoon.. Main her shaam kahta hoon k tum bhool gaon ga.. Mager jab subha hoti hai to Bholana bhool jata hoon.........
Banane ko to jahan bhi bana leta hu,Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu,Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai,Ek aur mukaddar is diye sa jala hai,Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai,Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.