Unki yaad dil se bhulai nahi jati... Yeh dil ki dolat roz lutai nahi jati... Kis muh se kahte ho ki unhe hum bhul jaye?. Yeh pyaar ki duniya hai, Roz basai nahi jati.......
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Unki galiyon se gujarna ab aadat si ho gayi hai Unhe har pal chahne ek chahat si ho gayi hai Kisi pe marne wale ham na the Par har pal unpe marna ibadat si ho gayi hai
chakh liya zaayeka-e-shayari jab se, lafzon me tarannum si aa gayi hai, arz-e-zubaan-e-ishq machal hi jati hai jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai....!!!
dayare me rehna bhi zindagi hai to hadh se gujarna bhi zindagi hai khusiyoan ko baatna bhi zindagi haito yu gamo se ladna bhi zindagi hai yu to rehti hai hothon pe muskurahat par shayad chupke se dard sehna bhi zindagi hai