Faasla mita kar aapas main pyaar rakhna,Pyaar ka ye rishta hamesha yun hi barkaraar rakhna,Bichad jaye kabhi aapse hum toh,Aankhoon main hamesha intazar rakhna
Aankh khuli to phir khwaab chale gaye jii behlane ke saare bahaane chale gaye yaad rehta nahi kuch bhi yaad kiye bina yaadoN me khokar jeene ke sahare chale gaye
Kuch rahe na rahe, teri mohabbat ka sahara rahe Pyar main dooba, hamesha ye dil hamara rahe Khushian teri, sare ghum mere hon dua yehi hai Ankhoon main, sada chehra tumhara rahe
usne kaha bas itni mulaqat bahut hairo ro ke kaha thehro abhi raat bahut hai aansoo mere thum jaaein to phir shauq se jana aise mein kahan jaoge barsaat bohat hai