Aaj ki raat bahut khubsurat nazar ati ho, dur ho itni magar karib nazar ati ho, dekh kar khud ko tum khud se sharmaa jao, aisi tum chand ki chandni nazar ati ho
Jana tha hamse dur kyu pas tum aye, koi gair na the na the hum paraye, baad itni muddat k ye hasin pal jo aye, afshosh hai hame bhi k aap hame samaj na paye.!
Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye mein milne aau par tu bahar na aaye anjaan hai hamare pyar se vo ab tak ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye
Chot lagi dil par aur bikhar gaye hum,haath mein aaya jaam aur pee gaye hum,yaad aaya unka har wo toda vaada,aur unki har yaad mein fanaa ho gaye hum'.