Dilme chahat ka diya jalakar chup gaya koi,Mujhe apna diwana bana kar chup gaya koi,yeh dard kya hota hai malum na tha hume,Dardka rasta dikha kar chup gaya koi
Kis dil se teri dilkashi ki tarif mangu,is mohabat se teri judai ka dard mangu,mujhe to dard hai tujse dur rahne ka,kis khuda se tujhse milne ki dua mangu
Din Tere Khayal Mein Gujar Jata Hai, Raat Ko Bhi Khayal Tera He Aata Hai. Kabhi Ye Khayal Is Tarah Bad Jaata Hai Ki Aaine Mein Bhi Tera Chehra Nazar Aata Hai.
wo hamare hi samne mehfil me aakar baithe hai,hatho me hamara dil chupakar baithe hai,jab humne pucha ki kya hai in haatho me,to bahana bana diya mehandi lagaye baithe hai....