Khaylo me ham rahe ye ehsas rakhna, Nazaro se dur sahi dil ke pass rakhna, ye nahi kahate ki saath raho hamesha, dur se hi sahi, hamesha yaad rakhna....
Yaado ko teri humne khone na diya, gumo ne bhi chup hone na diya. aankhe to aaj bhi bhar aayi teri yaad me, par teri di hui kasam ne hume rone na diya.!
Khushi se mare to aap ko paa kar marenge, Gum se mare to aap ko kho kar marenge, Gum naa hoga iss duniya se jaane ka, Jaise bhi mare aap ke ho kar marenge.