Tanhayi ki ye kuch aisi ajab raat hai,Tujhse judi huyi har yaad mere saath hai,Kis kadar ki thi mohabat humne tumse,Soch kar huyi aaj ashqon se mulaqat hai.
Hazaro ki ginti to hame nahi aati,par khayal kuch aisa hai,ke ret ka har zarra agar nayab hira ban jaye,to tohfe me aapko registan dene ki khwaish rakhte hai.
Sari umar aankho mein ek sapna yaad raha,Sadiyaan beet gayi wo lamha yaad raha,Jaane kya baat hai aap mein,Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gaya.