chakh liya zaayeka-e-shayari jab se, lafzon me tarannum si aa gayi hai, arz-e-zubaan-e-ishq machal hi jati hai jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai....!!!
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.