Hum tere dil me rahenge ek yaad bankar, tere lab par khilenege muskaan bankar, kabhi hume apne se juda na samajahna, Hum tere saath chalenge, aasmaan bankar.
Gam nahi waha jaha ho fasanaaapka, Khushiya dhundti rahe aashiyana aapka, Wo waqt hi na aaye jab aap udas ho, Ye duniya bhula na sake "MUSKURANA" aapka...
Dilse tera khayal na jaye to kya karu, tu hi bata tu yaad aaye to kya karu, hasrat ye hai ki ek nazar tujhe dekh lu, magar kismat wo lamha na laye to kya karu
Us ko dil mein basa bhi na paaye, aur sahi tarah se bhula bhi na paaye, woh shaaks jo ban gaye the zindagi meri, hum uss ko haal-e-dil suna bhi na paaye.