E mere humdum, mere dost, mere yaar, tere se seekha hum ne karna zindagi se pyar jabse payee hai maine dosti teri, uss khuda ka shukriya kartay hain baar baar
Nazro ko nazaro ki kami nahi hoti , foolo ko baharo ki kami nahi hoti , fir kyo hume yaad karoge aap , aap to aasman ho or aasman me sitaro ki kami nahi hoti.
Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga... Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga... Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga... Pehchan to ik pal ki thi mager sadiyon se jaan kar acha laga.......
Jaan chali jayegi hamari itna pyar na kariye,Pyaar me bechain hame mere yaar na kariye,Kasam hai aapko na rulaiye hame apni yaad me,Apni betabi ka izhaar baar baar na kariye.
Sitaron Ke Bagher Asmaan Mein Rakha Hai Kia? Bin Teray Jeenay Mein Rakha Hai Kia? Lagta Hai Sub Kuch Adhoora Adhoora Sa Khushi Ke Baghair Hansnay Mein Rakha Hai Kia
Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai, Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai, Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe, Sirf ek baar tujhe Dulhan ke roop mein paane ki tamanna hai....
khushgawar mausam hai thodi c hawa me nami hai aansuon ki behti nadi abhi-2 thami hai milna to hum b chaahte hai unse par hmaare paas saanson ki aur un k paas waqt ki kami hai