Aksar Ati Nahi Woh Sham, Jiska Hota Hai Intezar; Aksar Fizain Loot Leti Hai, Khilti Kaliyon ka Khumar; Aksar Kho Jate Hain Log, Jinse Ho Jata Hai Pyar.
Toote dil ko dobara lagana hamein accha nahin lagta Kissi ko palkoan pe bitha kar girana hamein accha nahin lagta Ek baar keh diya ki hum to sirf aapke hai lekin Baar baar humko yeh batana accha nahin lagta
Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta, iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta, tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan nahi karta
Is Kadar na har baat yaron se pucho, jo baat raaz ki ho woh isharo se pucho... Lehro se khelna to samandar ka shouk hai, lagti hai chot kaise yeh kinaro se pucho…