Aaj Mein Nein Khud Se Ye Wada Kiya Hai,Maafi Mangoon Gha Uss Sey Jisko Ruswa Kiya Hai,Har Mord Par Hee Hon Gha Mein Uss K Sath Sath,Maloom Hai K Mein Nein Usko Kitna Juda Kiya Hai
Rehne de aasman, jami ki talash kar, sab kuch yahi he, na kahi aur talash kar, har arzoo puri ho to jine ka kya maja, jine k liye bas 1 kami ki talash kar.
Masjid ki namaz ya mandir ki dua ho tum,Ho khuda ka tohfa ya khud khuda ho tum,Ae mere Rab khud hi karo faisla,Dil mein rehte ho tum ya dil ki jagah ho tum.
Wo to paani ki boond hai jo ankho se bah jaay... Ansu to wo hai jo tadap ke ankho me hi rah jaay... Wo pyar kya jo lafso me bayan ho... Pyar wo hai jo ankho me nazar aaye.....
Ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye, Subha hone ko hai mauhol banaye rakhiye, Kaun jane wo kis gali se guzre, Har gali ko phoolo se sajaye rakhiye!