Boond boond se hai sagar ki geheraai, Iss ki har ek boond mujh mein hai samaai. Koi maange to ek boond bhi na de sakenge, Kyunki har ek boond mein aapki MOHABBAT hai samaai.....
Kisi k dil me basna bura to nahi... kisi ko dil me basana khata to nahi.. gunah hoga Duniya ki nazar me to kya hua.. Kambakht Duniya wale khuda to nahi..,
Chaahat teri, zehen pe chhati hi jaa rahi, Surat teri dilon me basti hi jaa rahi, Tera pyar mile ab, ya tera gham mile muze, aadat tere khayaal ki badhti hi jaa rahi..
Umra ki rah me insan badal jate hai, waqt ki aandhi me tufan badal jate hai, socha tumhe itna yaad na karu, lekin aankh band karte hi irade badal jate hai...