Umar Jalwon Mein Basar Ho, yeh zaroori To Nahi, har Shab-e-gam Ki sahar Ho, yeh zaroori To Nahi, Neend To dard ke bistar pe Bhi Aa sakti Hai, teri Aagosh Mein Sir Ho, yeh zaroori To Nahi
Bahaar hoti to titliya jarur aati… Naam aakho me ho to siskiya jarur aati.. Kehne ko log kehte he k khub yaad aate ho…magar yaad karte to hickiya zarur aati
Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga, Jaise amavas ne har raat chand maanga. Ruth gaya woh Khuda bhi humse, Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga