tere husn ko shabdon mein kaid kar raha hoon jo rahe nakaam woh koshish kar raha hoon, amber pe hain lakhon tare chamakte ek ko is zameen par chamkane ki koshish kar raha hoon
dayare me rehna bhi zindagi hai to hadh se gujarna bhi zindagi hai khusiyoan ko baatna bhi zindagi haito yu gamo se ladna bhi zindagi hai yu to rehti hai hothon pe muskurahat par shayad chupke se dard sehna bhi zindagi hai
Log kehte hain wo mujh se Juda rehta hai, Ban k dhadkan Jo mere dil main sada rehta hai, Yun meri zaat main shamil hai uski hasti, Jis tarah sare zamane main Khuda rehta hai.
Aapse nazrein to mila lein par ye to bataiye ki Aap mein aisa kya dekhein jo dekhte hi deewana banade Badi mushkil se militi hai zindagi sambhal ke rakhiye Kahin is shama ko hum parvana na banade