Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai,pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.
Khab adhure sahi khab tumhare to hain.. Khab jhoote sahi khab sahare to hain.. Jaise taise kat jaye gi zindagi.. Tum humare na sahi hum tumhare to hain......
Benam sa yeh dard thahar kyun nahi jata,Jo dur hai dil se utar kyun nahi jata,Ek chehra jo barso se hai ajnabi,woh khwab hai toh phir bikhar kyun nahi jata.
Wo na Aye unki yad akar wafa karGai Unse milne ki tamanna Sukun tabah karGai Ahat hui socha asar Dua kar Gai Darvaja khola to dekha mazak Humse hawa kar gayi
Ab na raha kisi se chahat mohabbat ki,aur na hi raha kisise jarurat mohabbt ki,shayd jitna tha nasib me hme mil gya,ab na rha kisi s sikayat mohabbt ki
Meri Yaad Tumhein Zaroor Aaye Gi Yaad Tumhari Ankhoun Mein Ashk Bhar Laye Gi Jab Tu Meri Yaad Ko Dil Mein Yunhi Jalaye Gi Tab Meri Yaad Tujh Ko Or Bhi Sataye Gi