Hone the khel muqaddar ke ho gaye,hum tuti nau leke samanddar ke ho gaye,khushbu mere haanth ko chhukar chali gai,hum phol sabko baant kar patthar ke ho gaye.
Safar mohabt ka dushwar kitna hai Magr dekhna hai k koi wafadar kitna hai Yahi soch k usay kabi manga nahi maine Usay prakhna hay k wo mera talbgar kitna hai
Bahar hoti to titliya jarur aati,Nami aakho me ho to siskiya jarur aati,Kahne ko log kahte hai ke khub yaad aate hai,Magar yaad karte to hichkiya jarur aati.