Husna ko chand, Javani ko kammal kehte hain! Dekh kar hum tujhe, Ekh shauk ghazal kehte hain! Uff yeh sangeen huwa shafaf badan, Dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hain
Meri zindagi ke is mod pe ye kaisa waqt aaya hai, zakhm is dil ka zubaan pe aaya hai, nahi rote hum kaanto ki chubhan se, aaj kisi ki yaad ne humko itna rulaaya hai......
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata, Lehro se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khud hi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Zindagi mai kuch na mila humko to kya gum hai Aapka pyar mila humko kya ye kam hai Aapki dil mein ek chotisi jagah jo palun to woh jagah kya tajmahal se kam hai
phir din dhal gaya,fir raat aa gayi ,fir tanhai me baithne ki baat aa gai,abhi to taron ki panah me beithe hi the ,chand ko dekha to un ki yaad aa gai.
Door tumse tab bhi na the,door tumse ab bhi nahin.Kuch faasle aa gaye hamare beech,par dil se door tum ek pal bhi nahin.Kabhi dil se dil ko yaad karke to dekh,yeh dooriyaan kuch bhi nahin
Aap har manzil ko mushkil samajhte hain , Hum Aapko manzil samajhte hain , bada fark hai Aapke AuR Hamare nazariye mein , Aap hamein Sapna, AuR Hum Aapko Apna samajhte hain....
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,, Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,, Koi hum ko yaad kare ya na kare,, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari...