Karke mujhe Deewana ja rahe ho kyu,Kaise kiya tha Hamsafar banne ka Vaada, ye jara likh dena.Agar teri nazro me mera pyaar ek zurm he to tum apni taraf se mujhe koi saja likh dena.
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Hamein bhi mile koi chahne wala, hum toh pyar k liye bekrar baithe hain. Koi vada kare sapno mein aane ka, hum toh umar bhar sone ko taiyar baithe hain
Meri duaon mai shamil hai aap is tarah,pholon mai hoti hai khushbo jis tarah,khuda aapki zindagi mai itni khushiyan de,dharti pe hoti hai barsaat jis tarah.