Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.
Safar mohabt ka dushwar kitna hai Magr dekhna hai k koi wafadar kitna hai Yahi soch k usay kabi manga nahi maine Usay prakhna hay k wo mera talbgar kitna hai
Wo kare shikwa tum karo shikayat ye to pyar nahi, ager kar sako to karo itna ki kabhi pyar me koi gila na rahe, har zakhm ko sah lo hans kar tum, magar dilme koi gam na rahe