Dilse teri yaad na jaye to main kya karu..tasvir me tu hi tu aaye to main kya karu..lene ko to le aau tumhe khwabo me,par nind hi na aye to main kya karu.
Aap na Aye apki yad akar wafa kar gai,apse milne ki tamanna Sukun tabah kar gai,ahat hui socha asar Dua kar gai,Darwaza khola dekha mazak humse Hawa karGAYI.
Ishq hona bhi muqadar ki baat hoti hai, Mehboob ke bina zindagi tanhaai mein roti hai, Jeene lagte hein hum chori chori is jahaan mein, Unki chaahat hi is dard-e-dil ki dawa hoti hai
Wo kare shikwa tum karo shikayat ye to pyar nahi, ager kar sako to karo itna ki kabhi pyar me koi gila na rahe, har zakhm ko sah lo hans kar tum, magar dilme koi gam na rahe