Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Na tasveer hai uski jo didar kiya jaye, na vo hai pass jo pyar kiya jaye, ye kaisa dard diya hai us bedard ne, na usse kuch kaha jaye na us bin raha jaye
Bhul jana usay jo bhula jaye, Yaad karna usay jo nibha paye, Wade to bahut log karege, Magar dil ki baat usay zarur kehna jis ke bin ek pal bhi jiya na jaye..
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah ..!! Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah ...!! Khushbu Ke kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khat ...!! Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah ...!!
Juban ko bolne na de aur kayi kaam hai uske,Bhulkar sare jahan ko najar-najar milayein hum,Ek pal wo bhi aaye ki,khud ka khud pata na ho,Jannat ka aashiyan bana pahlu mein bikhar jayein hum.