Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Rishta hamara is jahan mein sabse pyara ho, jaise zindagi ko sanso ka sahara ho, Yaad karna hamein us pal mein, jab tum akele ho or koi na tumhara ho..
Aap k pyar ko salam kiya hai.Jine ka har andaz apke naam kiya hai mang lijiye us khuda se aaj kuch bhi Kyonki humne apni har mannat ko apke naam kiya hai..
Youn hi tunhai main hum dil ko saza dete hain, naam likhte hain tera likh ker mita detey hain, yai soch ker rehne dia armaano ko dil main, mehman kabi gar se nikale nahi jate.
Nibhaenge pyar marte dam tak,sath denge tumhara har janam tak,agar ye pyar tut jaye kahi,to wada raha nahi karenge pyar kisi aur se agle saat janam tak
Tumhara Naam likh kr mitana bhool jata hoon.. Tumhain Jab yaad krta hoon bulana bhool jata hoon.. Bohat c aysi batain hain jo mary DIL main rakti hain.. Mager jab tum sy milta hoon sunana bhool jata hoon.. Tumhary Baad ab her pal bari mushkil sy Katta hai.. Main aksar tum ko Khawabon main batana bholl jata hoon.. Main her shaam kahta hoon k tum bhool gaon ga.. Mager jab subha hoti hai to Bholana bhool jata hoon.........