Chorh diya hamara sath to koi gam nahi. Bhul jayenge aap hume, bhulne wale hum nahi… Aapse mulakat na ho pai to koi baat nahi, aapki ek yaad mulakat se kum nahi
Mohabbat har insaan ko azmati hai kisi se rooth jati hai or kisipe muskurati hai mohabat khel hi aisa hai,kisika kuch n jata or kisiki jaan chali jati hai
Roj hi tum mere khwabo me aate ho.. Kya ab bhi hume yaad karke muskurate ho.. Janta hu tum sath nahi ho humare.. To phir kyu apne hone ka ehsas dilate ho..
Jiss ko kehte hai mohabbat hai khuda ki nehmat, Sab ki kismat me ye daulat ho zaruri to nahi, Chand chunn-ne ki tamanna to hum ko bhi hai, Magar door kaa chand haqiqat ho zaruri to nahi