Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.
Meri zindagi ke is mod pe ye kaisa waqt aaya hai, zakhm is dil ka zubaan pe aaya hai, nahi rote hum kaanto ki chubhan se, aaj kisi ki yaad ne humko itna rulaaya hai......
saans tak nahin laita hain hum tum ko soochtay waqt.Is kaam ko bhi hum ne kal per utha rakha hai.Rooth jate ho tu kuch aur haseen lagte ho.hum ne is liye tum ko khafa rakha hai
Nigaho me aur koi pyaar ke kabil na raha,is kinare ka aur koi sahil na raha,chand jaisa yaar mila hume zameen par,asman ka chand bhi ab didar ke kabil na raha
Bas ek tamanna hai ki unse mulakat ho,bat unse aage badhe aur unka sath ho,kab tak hum yunhi ek dosre ko dekhte rahenge,kuch khamoshi tute aur izhar ka agaz ho.
Mere khushiyonko jamane ki nazar lag gai Tum mere sath thi pariyonki nazar lag gai Aaj ro raha houn door hokar tumse Lagta hein mujhe muskurane ki saza mil gai