Bata e ajnabi tera kya naam rakhun, Khawab rakhun to adhura reh jayega, Dil kahun to toot jayega Aa tera naam zindagi rakh doon, Maut tak to tera saath rahega
na nikalna aaj ke din kisi masjid ke paas se, kahi log chand samajhkar tumhe apna roza na tod de, aur hokar khafa khuda tumse, kahi husn banana na chod de..
tujh par khatm meri har chahat hogi, fir na kisi par ye inayat hogi, kuchh is tarah karenge hum mohabbat tujhko ke na zamane ko khabar hogi na zamane ko koi shikayat hogi.
Har baat kehkar samjayi nahi jati, har cheez zindagi main paayi nahi jati, yu to har waqt yaad karte hai aap ko, par yaadein kisi ko dikhayi nahi jaati