Hum tere dil me rahenge ek yaad bankar, tere lab par khilenege muskaan bankar, kabhi hume apne se juda na samajahna, Hum tere saath chalenge, aasmaan bankar.
Tere pyaar me wo kar ke dikhau, Marne ko keh do to marr ke dikhau, Phir se janam le ke iss duniya me aayu, Tamanna phir bhi yahi hogi tujh ko hi paaun.
Mohabat ke bina Zindagi fazool hai Par mahobat ke bhi aapne ussol hai Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate Par aap ho Mehbub toh sab kubul hai
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker.
yaado ki bahane dhunda karta hoon, dil se tume bulaya karta hoon, dubti huyi kasti se kinara manga karta hoon, bas yu sitaro se appki batte kiya karta hoon
Saamne na ho to tarasti hain aankhein,Yaad me teri barasti hain aankhein,Mere liye nahi inke liye hi aa jaao,Aap ka bepanaah intezaar karti hain ye aankhein.