Banane ko to jahan bhi bana leta hu, Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu, Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai, Ek aur mukaddar is diye sa jala hai, Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai, Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.
Gunaah karke saza se darty hain... Zeher pi ke dawa se darte hain... Dushmano ke sitam ka khauff nahi... Hum to apno ke rooth jaane se darte hain......
Suna hai log unhe aank bhar ke dekhte hain.. Unke sehar me kuch din tehar ke dekhte hain.. Suna hain din ko unhe titliyan satati hain.. Raat ko jugnu tehar ke dehkte hai.. Agar aisi baat hai to chalo baat kar ke dekhte hai......
zindagi ki kitab ke jo panne hote hai kuch apne kuch begane hote hai khusiyo se sawar jaati hai zindagi bas rishte pyar se nibhane hote hai kehte hai ishq me nind ud jaati hai kambakht humse bhi koi ishq kare
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya Khali hi sahi hathon mein jam to aaya Mein hoon bewafa sabko betaya usneYun hi sahi, uske labon pe mera naam to aaya.