Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Umar bhar aapko itna pyaar denge,Soch se bhi zyada beshumaar denge,Di na hogi itni khushiyan kisi ne apne pyaar ko,Vaada hai utni khushiya bar bar denge.
Chaha tha jisko use bhulaya na gaya, jakhm dil ka logo se chupaya na gaya, judai k baad bi itna pyar karta hai dil use, k judai ka ilzam bi us pr lagaya na gya.