Bhul jana usay jo bhula jaye, Yaad karna usay jo nibha paye, Wade to bahut log karege, Magar dil ki baat usay zarur kehna jis ke bin ek pal bhi jiya na jaye..
Ga saku apka nagma woh saaz kaha se lao, suna saku kuch apko woh andaz kaha se lao.u to chand ki tarif karna asaan hai,kar saku apki tarif woh alfaz kaha se lao
Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga, Jaise amavas ne har raat chand maanga. Ruth gaya woh Khuda bhi humse, Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata, Lehro se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khud hi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.