Aaj kuch khas baat to jaroor hai ...... jo aap itne madhosh huwe ja rahe hain..... kahin ye bin piye jaam ka nasha to nahin.. jo aap itne Ashiq mizaz huwe ja rahe hain
yade jo khoyi khoyi aati hai to raatein bhi soyee soyee aati hai ..shaam ki izzazat lekar chand kya nikla.ye hawayein bhi sharab mein bhigoyee si aati hai..
Ab kya kahe ki unse mohabat na rahi,Ya ye ki unko humari jarurat na rahi,Unko bhi wada karke bhulane ka shauk hai,Aur humko bhi ab intejar ki aadat na rahi.
Kisi k dil me basna bura to nahi... kisi ko dil me basana khata to nahi.. gunah hoga Duniya ki nazar me to kya hua.. Kambakht Duniya wale khuda to nahi..,