Jaan chuke hum aaj, ke kyu khote rahe muhabbat ko, wo saamne rehte to hum khwaab dekhte the. Usko na mila apna chehra meri nazar mein, aur uske chehre ko hum khwaabo mein dhoondhte the
Saath rehtay rehtay yoon hi waqt guzr jaye ga .. Door hone k baad kon kesay yaad aye ga .. Jee lo yeh pal jab hum saath hai .. Kal ka koya pata waqt kaha ley jaye ga.....
Intaha karna kabhi acha nahi hota.. Jisey chaho woh kabhi bewafa nahi hota.. Yeh tu kismat ki baat hai mil jaye woh kisi or ko..Zabardasti sey kisi ko pana acha nahi hota.......
jee chaahta hai tumse pyari si baat ho, khaamosh taare aur lambi si raat ho, phir saari raat tumse hum kahte raheN, ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho!!
Aap na Aye apki yad akar wafa kar gai,apse milne ki tamanna Sukun tabah kar gai,ahat hui socha asar Dua kar gai,Darwaza khola dekha mazak humse Hawa karGAYI.