dekhi jo nabz meri to kuch soch kar kalam uthai aur ishq ka bemar bana diya may kurban kyon na jao is tabib par jis nay nuskhe may sarbate dedar likh diya
Saath Humara pal bhar ka sahi, par woh pal aise jaise koi kal nahi rahe zindagi mein shayad phir milna humaara par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
taqdeer thi aisi ke kabhi khush na rahsake sab kuchh diya khuda ne magar ham na sah sake chahat hamari phool thi ek vo hi na mila ghar me dher motiyon ka chaha na jo kabhi
Intezaar Ke Lamhe Sholey Mein Badalne Lage Hain, Hum Unka Intezaar Karne Lage Hain, Woh Aayi Nahi Abhi Tak Samay Bahot Ho Gaya Hain, Ab To Hum Ghadi Se Bhi Sharminda Ho Gaye Hain
Nashili aankhon se wo jab hame dekhte hhum ghabraakar aankhen jhuka lete h kaun milaaye unki aakhon se aankhen suna hai wo aankhon se Apna Bana Lete h.
dayare me rehna bhi zindagi hai to hadh se gujarna bhi zindagi hai khusiyoan ko baatna bhi zindagi haito yu gamo se ladna bhi zindagi hai yu to rehti hai hothon pe muskurahat par shayad chupke se dard sehna bhi zindagi hai
Har baar apki salamati ki dua karenge,teri arzoo main apni hasti fanaah karenge,tum chahe daman bachalo humse lekin,Hum marte dum tak aapse wafa karenge.