Teri Tanhaiyon Mein Sharik Ho Jaon, Sochti Hu Aksar K Tera Nasib Ho Jaun, Na Rahe Kisi Aur ki Aarzu Tumko, Kabhi jo ho mumkin to me tere itne karib ho jau
sama jo teri yaado ka is dil me jawa hoga, rahenge jaha hm, is dil me tera chera waha hoga. gujregi hawaye jab tumhari palko ko chukar, panah lena usme mera asiyana waha hoga.
Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta, iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta, tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan nahi karta
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
Kisi k dil me basna bura to nahi,kisi ko dil me basana koi khata to nahi,gunah ho ye zamane ki nazar me to kya hua,zamane wale bhi to insan hai khuda to NAHI
Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho