Fir wahi fasaana afsaana sunati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho
Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Tere pyaar me wo kar ke dikhau, Marne ko keh do to marr ke dikhau, Phir se janam le ke iss duniya me aayu, Tamanna phir bhi yahi hogi tujh ko hi paaun.
Kashish honi chahiye kisi ko yad karne ki, Lamhe to apne aap mil jate hain. Waqt hona chahiye kisi k saath gujarane k liye, Bahane to apne aap mil jate hain !